This song was written about a woman who had an abusive marriage. She left home withe her daughter and picked up a profession of a truck driver, which is pretty difficult for a woman.
Very inspirational..
Mann ke manjeere aaj khanakne lage
Bhoole the chalna, kadam thirakne lage
Ang ang baaje mrudang sa, sur mere jaage
Saans saans mein baans baans mein, dhun koi saaje
Gaye re, Dil ye gaane laga hai, Mujhko aane laga hai
Khud pe hi aitbaar
Badal tak jhoole mere pahunchne lage,
Ankhon ke aage gagan simatne lage,
Daal daal ne, taal taal de, choo ke hawayen
Khet khet ne, ret ret ne, phailadi baahein
Aaye he, Sindoori subah aayi, ghulti jaaye siyahi
Raaton ki Raaton ki
Khole jo darwaze to dekha har shai thi nahayi
Ujli ujli si thi meri tanhayee re
Badli badli si badli mere angna mein thi chayi
Virani rani ban ke mere paas aayi
Apni nazar se maine dekhi duniya ki rangoli
Mujhko bulane aayi mausam ki toli
Kholi aankhon ki kholi maine paayi apni boli
Mujhme hi rehti thi meri humjoli re..
Sun lo.. Ab na akeli hoon main, apni saheli hoon main,
Saathi hoon apni main
No comments:
Post a Comment